Shatir Hakeemi

dard mein jab kami si hoti hai

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
dard meñ jab kamī sī hotī hai
dil taḌaptā hai aañkh rotī hai
vasl kī raat raat hotī hai
qalb bedār aañkh sotī hai
sāmne un ke lab nahīñ khulte
band goyā zabān hotī hai
ek qatra hai un kī mizhgāñ par
yā koī lā-javāb motī hai
bahr-e-ulfat meñ kashti-e-dil ko
mauja-e-ummīd hī Dubotī hai
aañkh kahtī hai ġham ke afsāne
ek aisī ghaḌī bhī hotī hai
dil meñ chuTkī sī le rahā hai kaun
aañkh kyuuñ baar baar rotī hai
mil ke do qalb jab bichhaḌte haiñ
zindagī zindagī ko rotī hai
ġham kī rūdād pūchhne vaale
āñsuoñ kī zabān hotī hai
dil jalā āsmāñ na jal jaa.e
āh-e-bekas ḳharāb hotī hai
be-zarūrat sī guftugū 'shātir'
e'tibār aadmī kā khotī hai
Top Urdushayar.com