Shatir Hakeemi

ye dast-e-naz mein KHat tarjuman kis ka hai

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
ye dast-e-nāz meñ ḳhat tarjumān kis kā hai
agar nahīñ hai tumhārā bayān kis kā hai
bisāt-e-arz basīt āsmān kis kā hai
hamāre dil meñ nihāñ ye jahān kis kā hai
ye phuuT phuuT ke rote haiñ kyuuñ dar-o-dīvār
makīn kaun thā is meñ makān kis kā hai
jahāñ tumhāre nishān-e-qadam nahīñ milte
mirā nahīñ hai agar vo makān kis kā hai
kalī kalī lab-e-goyā shajar shajar ḳhāmosh
ye dāstān hai kis kī bayān kis kā hai
ye kyuuñ salīb o salāsil banā.e jaate haiñ
tumhāre pesh-e-nazar imtihān kis kā hai
na dushmanī kī alāmat na dostī kā shu.ūr
tire paḌos meñ 'shātir' makān kis kā hai
Top Urdushayar.com