Suhail Amjad

koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka

Suhail Amjad

koī daulat kā pujārī ho koī tadbīr kā
vaar chal jaatā hai har ik shaḳhs par taqdīr kā
ik nayā ġham roz miltā hai purāne ġham ke saath
silsila TūTegā kab is dard kī zanjīr kā
sāzishoñ ke jaal hī phaile haiñ har ik raah meñ
pyaar kā rāñjhā bhī ḳhud mujrim hai apnī hiir kā
dhīre dhīre zaḳhm par añgūr aa hī jā.egā
chup hī rahnā chāhiye kyā fā.eda tash.hīr kā
surḳh āñchal meñ dahakte phuul kī sūrat 'suhail'
ab talak āñkhoñ meñ naqsha hai usī tasvīr kā
Top Urdushayar.com