Suhail Amjad

sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin

Suhail Amjad

sahrā meñ huuñ junūñ ke bhī āsār hī nahīñ
sar phoḌne ke vāste dīvār hī nahīñ
jis kī davā-e-dil kī zarūrat ke vāste
ham chārāgar hue to vo bīmār hī nahīñ
apne vatan kī ḳhaak liye phir rahā huuñ maiñ
us kī vafāoñ se mujhe inkār hī nahīñ
taqdīr ke haiñ khel javāñ ishq jab huā
tab khelne ke vāste mañjhdār hī nahīñ
ham rah-navard-e-shauq ko sahrā hī Thiik hai
kyā lutf mai-kade meñ agar yaar hī nahīñ
sad iftiḳhār ġhairoñ ko dīdār-e-ām hai
sad-haif ham ko dāvat-e-dīdār hī nahīñ
be-bas hī kar diyā hai irādoñ ne ai 'suhail'
qismat ne kar diyā mujhe lā-chār hī nahīñ
Top Urdushayar.com