mire madd-e-muqābil tiir ḳhanjar aur bhāle haiñ
magar aise ka.ī bhāle mire dil ne sambhāle haiñ
muqayyad dā.era-dar-dā.era hai zindagī merī
mire har chāñd ke chāroñ taraf tārīk haale haiñ
kaTe kī zindagī kaise musalsal jabr meñ rah kar
safar sahrā kā hai aur paañv meñ chhāle hī chhāle haiñ
bhulā saktā huuñ kaise vaar jo siine pe khaa.e haiñ
ki us ke zaḳhm bhī aulād kī mānind paale haiñ
haqīqat to ye hai har ahd ke kirdār yaksāñ haiñ
vahī suqrāt hai aur zahr se labrez pyāle haiñ
mire ghar meñ hai kyā rakkhā tirī ḳhidmat-guzārī ko
ki mere paas to mehmān-e-jāñ ġham ke nivāle haiñ
baḌhūñ aage ki pīchhe lauT jā.ūñ ai 'suhail'-amjad
mire pīchhe haiñ gahrī khā.iyāñ aage himāle haiñ