mire jurm-e-ishq kī is qadar mujhe ai nadīm sazā na de
mire dil pe itnī jafā na kar mujhe yuuñ nazar se girā na de
yahī ek gauhar-e-be-bahā mirī zindagī kā hai mā-hasal
mujhe Dar hai terī ye be-ruḳhī ġham-e-ārzū ko miTā na de
hai ḳhamosh ātish-e-zindagī magar ik sharar tire ishq kā
mire dil meñ ab bhī chamak rahā hai use bhī yaas bujhā na de
ab agarche qābil-e-etibār hai ġhair hī kī vafā magar
mirī us vafā ko jo e'tibār se gir chukī hai bhulā na de
jo mujhe yaqīñ ho ki maiñ hī tere harīm-e-ġham kā rafīq huuñ
to balā se gar mujhe bazm-e-aish meñ baar terī atā na de