Mansoor Ahmad

raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

Mansoor Ahmad

Jammu, Jammu and Kashmir, India

1899
raat kī aañkh meñ mere liye kuchh ḳhvāb bhī the
ye alag baat ki har ḳhvāb meñ girdāb bhī the
zindagī bāñjh sī aurat thī ki jis ke dil meñ
buuñd kī pyaas bhī thī aañkh meñ sailāb bhī the
zaḳhm kyuuñ risne lage ik tire chhū lene se
dukh samundar the magar mauja-e-pāyāb bhī the
chāñd kī kirnoñ meñ aahaT tire qadmoñ kī sunī
aur phir chāñd ke Dhal jaane ko betāb bhī the
tujh se jo lamha milā lamha-e-mashrūt milā
vasl kī sā.atoñ meñ hijr ke ādāb bhī the
azhdahā pāniyoñ kā shahr-e-navā TuuT gayā
mātamī aañkh meñ aañsū mire be-āb bhī the
kitnā ābād mire saath thā sāyoñ kā hujūm
kaise tanhā.ī ke sahrā the jo shādāb bhī the
Top Urdushayar.com