Ayush Charag

rida-e-waqt mein bas mah-o-sal bunte hue

Ayush Charag

Aligarh, Uttar pradesh, India

1991
ridā-e-vaqt meñ bas māh-o-sāl bunte hue
ik umr kaaT dī terā ḳhayāl bunte hue
ye rañg us kā pasandīda rañg thā maahī
maiñ aaj rone lagā ek shaal bunte hue
usī zamīn ko tartīb se banānā hai
nadī ke dhāgoñ se shahroñ kī khaal bunte hue
mujhe taḌaptī uḌānoñ kī yaad aatī hai
tumheñ bhī yaad kuchh aatā hai jaal bunte hue
zarā sā azm thā poshāk ḳhud banā.ūñgā
guzar ga.e haiñ magar kitne saal bunte hue
vo kokh bhī na bachī vahshiyoñ ke hāthoñ se
safed uun huā laal laal bunte hue
Top Urdushayar.com