Ayush Charag

dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah

Ayush Charag

Aligarh, Uttar pradesh, India

1991
dil hamārā ho gayā vīrān sahrā kī tarah
mar gayā pyāsā yahāñ har ḳhvāb chiḌiyā kī tarah
is kā apnī hī ravānī par nahīñ hai iḳhtiyār
zindagī shiv kī jatāoñ meñ hai gañgā kī tarah
har muqadma de rahā hai jism par koḌe hazār
maiñ adālat meñ rakhā huuñ paak giitā kī tarah
yā to koī chāhne vaalā yahāñ merā na ho
aur koī ho to ho rādhā yā miirā kī tarah
zindagī merī ab us kī qabr meñ mahfūz hai
vo jo mere dil meñ rahtā hai tamannā kī tarah
ek din mumkin hai maiñ islām kā chehra banūñ
darmiyāñ logoñ ke huuñ filhāl charchā kī tarah
daaġh haiñ jān-o-jigar meñ dil banā hai aag se
'mīr' huuñ par haiñ mire ash.ār 'saudā' kī tarah
Top Urdushayar.com