Ayush Charag

jahan jahan par qadam rakhoge tumhein milegi wahin udasi

Ayush Charag

Aligarh, Uttar pradesh, India

1991
jahāñ jahāñ par qadam rakhoge tumheñ milegī vahīñ udāsī
ye raaz kuchh is tarah samajh lo makāñ mirā hai makīñ udāsī
samay kī āñkhoñ se dekhiye to har ik khañDar meñ chhupe mileñge
kahīñ pe bachpan kahīñ javānī kahīñ buḌhāpā kahīñ udāsī
mire shabistāñ ke paas koī burī tarah kal sisak rahā thā
maiñ us ke siine se lag ke bolā nahīñ udāsī nahīñ udāsī
badhā.ī chahkīñ duā.eñ gūñjī tamām chehre ḳhushī se jhūme
qubūl hai tiin baar bolī jab ek parda-nashīñ udāsī
bichhaḌne vaale bichhaḌte Time na kah sake kuchh na sun sake kuchh
bas ek photo meñ qaid kar lī ga.ī balā kī hasīñ udāsī
shafīq sūraj ḳhamosh paanī magar abhī bhī kamī hai kuchh kuchh
'charāġh'-sāhab ke sher paḌh kar kareñ mukammal hamīñ udāsī
Top Urdushayar.com