Ayush Charag

tasawwur pyar ka jo hai purana karne wala hun

Ayush Charag

Aligarh, Uttar pradesh, India

1991
tasavvur pyaar kā jo hai purānā karne vaalā huuñ
maiñ apnī āp-bītī ko fasāna karne vaalā huuñ
jahāñ pe sirf vo thī aur maiñ thā aur ḳhushbū thī
usī jhurmaT ko apnā āshiyāna karne vaalā huuñ
jise maiñ chāhtā huuñ vo kahīñ kī shāhzādī hai
so us ke vāste ḳhud ko shahāna karne vaalā huuñ
udāsī dekh aa.ī hai makāñ shahr-e-mohabbat meñ
jahāñ maiñ shaam ko jā kar bayāna karne vaalā huuñ
mujhe ma.alūm hai vo kyā shikāyat karne vaalī hai
use ma.alūm hai maiñ kyā bahāna karne vaalā huuñ
tirī āñkhoñ tirī zulfoñ tire hoñThoñ se vābasta
ka.ī armān haiñ jin ko siyānā karne vaalā huuñ
use jo aql-mandī kī baḌī bāteñ batāte haiñ
unhīñ logoñ ko ab apnā divāna karne vaalā huuñ
'charāġh' ab kaun sī majbūriyāñ haiñ jo añdherā hai
tumhīñ kahte the ki raushan zamāna karne vaalā huuñ
Top Urdushayar.com