ehsān le na himmat-e-mardāna chhoḌ kar
rasta bhī chal tū sabza-e-begāna chhoḌ kar
marne ke ba.ad phir nahīñ koī sharīk-e-hāl
jaatā hai sham-e-kushta ko parvāna chhoḌ kar
hoñToñ pe aaj tak haiñ shab-e-aish ke maze
saaqī kā lab liyā lab-e-paimāna chhoḌ kar
af.ī nahīñ khulī huī zulfoñ kā aks hai
jaate kahāñ ho ā.īna o shāna chhoḌ kar
tūl-e-amal pe dil na lagānā ki ahl-e-bazm
jā.eñge nā-tamām ye afsāna chhoḌ kar
labrez jām-e-umr huā aa ga.ī ajal
lo uTh ga.e bharā huā paimāna chhoḌ kar
us pīr-zāl-e-dahr kī ham Thokaroñ meñ haiñ
jab se ga.ī hai himmat-e-mardāna chhoḌ kar
pahroñ hamārā aap meñ aanā muhāl hai
kosoñ nikal gayā dil-e-dīvāna chhoḌ kar
utrā jo shīsha taaq se zāhid kā hai ye haal
kartā hai raqs sajda-e-shukrāna chhoḌ kar
ye sum.a-o-riyā to nishānī hai kufr kī
zunnār bāñdh sub.ha-e-sad-dāna chhoḌ kar
rindān-e-mai-kada bhī haiñ ai ḳhizr muntazir
bastī meñ aa.iye kabhī vīrāna chhoḌ kar
ehsān sar pe laġhzish-e-mastāna kā huā
ham do qadam na jā sake mai-ḳhāna chhoḌ kar
vaadī bahut muhīb hai bīm-o-umīd kā
dekheñge sher par dil-e-dīvāna chhoḌ kar
ro ro ke kar rahī hai surāhī vidā.a use
jaatā hai duur duur jo paimāna chhoḌ kar
tauba to kī hai 'nazm' binā hogī kis tarah
kyūñ-kar jiyoge mashrab-e-rindāna chhoḌ kar