Nazm tabaatabaa.ii

yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
yuuñ maiñ sīdhā gayā vahshat meñ bayābāñ kī taraf
haath jis tarah se aatā hai garebāñ kī taraf
baiThe baiThe dil-e-ġham-ghīñ ko ye kyā lahr aa.ī
uTh ke tūfān chalā dīda-e-giryāñ kī taraf
dekhnā lāla-e-ḳhud-rav kā lahaknā saaqī
koh se dauḌ ga.ī aag bayābāñ kī taraf
ro diyā dekh ke aksar maiñ bahār-e-shabnam
hañs diyā dekh ke aksar gul-e-ḳhandāñ kī taraf
baat chhuptī nahīñ paḌtī haiñ nigāheñ sab kī
us ke dāman kī taraf mere garebāñ kī taraf
saikḌoñ dāġh-e-gunah dho ga.e rahmat se tirī
kyā ghaTā jhuum ke aa.ī thī gulistāñ kī taraf
chashm-e-ā.īna pareshāñ-nazarī siikh ga.ī
dekhtā thā ye bahut zulf-e-pareshāñ kī taraf
sar jhukā.e hue hai 'nazm' basān-e-ḳhāma
samt sajde kī hai terī ḳhat-e-farmāñ kī taraf
Top Urdushayar.com