Nazm tabaatabaa.ii

koi mai de ya na de hum rind-e-be-parwa hain aap

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
koī mai de yā na de ham riñd-e-be-parvā haiñ aap
sāqiyā apnī baġhal meñ shīsha-e-sahbā haiñ aap
ġhāfil o hoshyār vo timsāl-e-yak-ā.īna haiñ
varta-e-hairat meñ nādāñ aap haiñ daanā haiñ aap
kyuuñ rahe merī duā minnat-kash-e-bāl-e-malak
nāla-e-mastāna mere āsmāñ-paimā haiñ aap
hai ta.ajjub ḳhizr ko aur āb-e-haivāñ kī talab
aur phir uzlat-guzīn-e-dāman-e-sahrā haiñ aap
manzil-e-tūl-e-amal darpesh aur mohlat hai kam
raah kis se pūchhiye hairat meñ naqsh-e-pā haiñ aap
haq se tālib diid ke hoñ ham basīr aise nahīñ
ham ko jo kotah-nazar samjheñ vo nā-bīnā haiñ aap
gul hama-tan-zaḳhm haiñ phir bhī hama-tan-gosh haiñ
be-asar kuchh nāla-hā-e-bulbul-e-shaidā haiñ aap
hirs se shikva karūñ kyā haath phailāne kā maiñ
kahtī hai vo apne hāthoñ ḳhalq meñ rusvā haiñ aap
ham se ai ahl-e-tana.a.um muñh chhupānā chāhiye
dam bharā karte haiñ ham aur ā.ina-sīmā haiñ aap
Top Urdushayar.com