tanhā nahīñ huuñ gar dil-e-dīvāna saath hai
vo harzah-gard huuñ ki parī-ḳhāna saath hai
hañgāma ik parī kī savārī kā dekhnā
kyā dhuum hai ki saikḌoñ dīvāna saath hai
dil meñ haiñ laakh tarah ke hiile bhare hue
phir mashvara ko ā.īna o shāna saath hai
roz-e-siyah meñ saath koī de to jāniye
jab tak faroġh-e-sham.a hai parvāna saath hai
detā nahīñ hai saath tahī-dast kā koī
jab tak ki mai hai shīshe meñ paimāna saath hai
sīkhā huuñ mai-kade meñ tarīq-e-farotanī
jab tak ki sar hai sajda-e-shukrāna saath hai
jo be-basar haiñ DhūñDte phirte haiñ duur duur
aur har qadam pe jalva-e-jānāna saath hai
kyā ḳhauf ho hameñ zan-e-duniyā ke makr kā
apnī madad ko himmat-e-mardāna saath hai
ġham kī kitāb se dil-e-sad-pāra kam nahīñ
jis bazm meñ ga.e yahī afsāna saath hai
mānind-e-gard-bād huuñ ḳhāna-ba-dosh maiñ
sahrā meñ huuñ magar mirā kāshāna saath hai