ye huā ma.aal hubāb kā jo havā meñ bhar ke ubhar gayā
ki sadā hai lutma-e-mauj kī sar-e-pur-ġhurūr kidhar gayā
mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhā qadam koī
mujhe par lagā.e shauq ne kahīñ thak ke maiñ jo Thahar gayā
mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadar
koī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayā
asar us ke ishva-e-nāz kā jo huā vo kis se bayāñ karūñ
mujhe to ajal kī hai aarzū use vahm hai ki ye mar gayā
tujhe ai ḳhatīb-e-chaman nahīñ ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq meñ
ki kitāb-e-gul kā varaq varaq tirī be-ḳhudī se bikhar gayā
kise tū sunātā hai ham-nashīñ ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-dīñ
tire kahne kā hai mujhe yaqīñ maiñ tire Darāne se Dar gayā
karūñ zikr kyā maiñ shabāb kā sune kaun qissa ye ḳhvāb kā
ye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayā
dil-e-nā-tavāñ ko takān ho mujhe us kī taab na thī zarā
ġham-e-intizār se bach gayā thā naved-e-vasl se mar gayā
mire sabr-o-tāb ke sāmne na hujūm-e-ḳhauf-o-rajā rahā
vo chamak ke barq rah ga.ī vo garaj ke abr guzar gayā
mujhe bahr-e-ġham se ubuur kī nahīñ fikr ai mire chāra-gar
nahīñ koī chāra-kār ab mire sar se aab guzar gayā
mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiye
mai-e-añgbīñ kā ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā
nahīñ ab jahān meñ dostī kabhī rāste meñ jo mil ga.e
nahīñ matlab ek ko ek se ye idhar chalā vo udhar gayā
agar aa ke ġhussa nahīñ rahā to lagī thī aag ki bujh ga.ī
jo hasad kā josh faro huā to ye zahr chaḌh ke utar gayā
tujhe 'nazm' vādi-e-shauq meñ abas ehtiyāt hai is qadar
kahīñ girte girte sambhal gayā kahīñ chalte chalte Thahar gayā