kyā kārvān-e-hastī guzrā ravā-ravī meñ
fardā ko maiñ ne dekhā gard-o-ġhubār-e-dī meñ
the mahv lāla-o-gul kis kaif-e-be-ḳhudī meñ
zaḳhm-e-jigar ke Tāñke TuuTe hañsī hañsī meñ
yārān-e-bazm-e-ishrat DhūñDūñ kahāñ maiñ tum ko
tāroñ kī chhāñv meñ yā pichhle kī chāñdnī meñ
har uqda meñ jahāñ ke poshīda hai kashākash
hai mauj-e-ḳhanda-e-gul pinhāñ kalī kalī meñ
zaḳhmoñ meñ ḳhud chamak hai aur us pe ye sitam hai
rañg-e-parīdañ se maiñ rahtā huuñ chāñdnī meñ
ham kis shumār meñ the pursish jo ham se hotī
ye imtiyāz paayā āshob-e-āgahī meñ
hukm-e-qazā ho jaisā sarzad ho fe.al vaisā
banda kā daḳhl bhī hai phir is kahī badī meñ
raftār-e-sāya ko hai past-o-buland yaksāñ
Thokar kabhī na khaa.e rāh-e-farotanī meñ
vajd aa gayā falak ko ġhash aa gayā zamīñ ko
do tarah ke asar the ik saut-e-sarmadī meñ
ta.abīr us kī shāyad ek vāpsīñ nafas ho
jo ḳhvāb dekhte the ham saarī zindagī meñ
laa.ī hubāb tak ko sail-e-fanā bahā kar
ik aah khīñchne ko ik dam kī zindagī meñ
mahshar kī āfatoñ kā dhaḌkā nahīñ rahā ab
sau hashr maiñ ne dekhe do din kī zindagī meñ
pahlū meñ tū ho ai dil phir hasrateñ hazāroñ
kis baat kī kamī hai terī salāmtī meñ
pursān-e-hāl vo ho aur sāmne bulā kar
kyā jāniye zabāñ se kyā nikle be-ḳhudī meñ
tū ek zill-e-hastī phir kaisī ḳhud-parastī
saaya kī parvarish hai dāmān-e-be-ḳhudī meñ
haa.el bas ik nafas hai mahshar meñ aur ham meñ
parda habāb kā hai fardā meñ aur dī meñ
āñkheñ dikhā rahī hai din se mujhe shab-e-ġham
āsār tīrgī ke haiñ din kī raushnī meñ
tū ne to apne dar se mujh ko uThā diyā hai
parchhā.īñ phir rahī hai merī usī galī meñ
sajda kā hukm mujh ko tū ne to ab diyā hai
pahle hī likh chukā huuñ maiñ ḳhatt-e-bandgī meñ
ai 'nazm' chheḌ kar ham tujh ko hue pashemāñ
kyā jānte the zālim ro degā dil-lagī meñ