Nazm tabaatabaa.ii

bidat masnun ho gai hai

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
bid.at masnūn ho ga.ī hai
ummat mat.ūn ho ga.ī hai
kyā kahnā tirī duā kā zāhid
gardūñ kā sutūn ho ga.ī hai
rahne do ajal jo ghaat meñ hai
mujh par maftūn ho ga.ī hai
hasrat ko ġhubār-e-dil meñ DhūñDo
zinda madfūn ho ga.ī hai
vahshat kā thā naam avval avval
ab to vo junūn ho ga.ī hai
vaa.iz ne burī nazar se dekhā
mai shīshe meñ ḳhuun ho ga.ī hai
aariz ke qarīn gulāb kā phuul
ham-rañg kī duun ho ga.ī hai
banda huuñ tirā zabān-e-shīrīñ
duniyā mamnūn ho ga.ī hai
'haidar' shab-e-ġham meñ marg-e-nāgāh
shādī kā shugūn ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com