kisī se bas ki umīd-e-kushūd-e-kār nahīñ
mujhe ajal ke bhī aane kā e'tibār nahīñ
javāb naame kā qāsid mazār par laayā
ki jāntā thā use tāb-e-intizār nahīñ
ye kah ke uTh ga.ī bālīñ se merī sham-e-sahar
tamām ho ga.ī shab aur tujhe qarār nahīñ
jo tū ho paas to hūr-o-qusūr sab kuchh ho
jo tū nahīñ to nahīñ balki zīnhār nahīñ
ḳhizāñ ke aane se pahle hī thā mujhe ma.alūm
ki rañg-o-bū-e-chaman kā kuchh e'tibār nahīñ
ġhazal kahī hai ki motī piro.e haiñ ai 'nazm'
vo kaun sher hai jo durr-e-shāhvār nahīñ