Nazm tabaatabaa.ii

is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
is vāste adam kī manzil ko DhūñDte haiñ
muddat se dostoñ kī mahfil ko DhūñDte haiñ
ye dil ke paar ho kar phir dil ko DhūñDte haiñ
tīr-e-nigāh us ke bismil ko DhūñDte haiñ
ik lahr meñ na the ham kyuuñ ai habāb dekhā
yuuñ aañkh band kar ke sāhil ko DhūñDte haiñ
tarz-e-karam kī shāhid haiñ meva-dār shāḳheñ
is tarah sar jhukā kar saa.il ko DhūñDte haiñ
hai vasl o hijr apnā ai qais turfa-mazmūñ
mahmil meñ baiThe haiñ aur mahmil ko DhūñDte haiñ
tūl-e-amal kā rasta mumkin nahīñ ki tai ho
manzil pe bhī pahuñch kar manzil ko DhūñDte haiñ
hasrat shabāb kī hai ayyām-e-sheb meñ bhī
ma.adūm kī havas hai zaa.il ko DhūñDte haiñ
uThte haiñ valvale kuchh har baar dard ban kar
kyā jāniye jigar ko yā dil ko DhūñDte haiñ
zaḳhm-e-jigar kā mere hai rashk dostoñ ko
martā huuñ maiñ ki ye kyuuñ qātil ko DhūñDte haiñ
ahl-e-havas kī kashtī yak baam o do havā hai
dariyā-e-ishq meñ bhī sāhil ko DhūñDte haiñ
aayā jo rahm mujh par is meñ bhī chaal hai kuchh
siine pe haath rakh kar ab dil ko DhūñDte haiñ
karte haiñ kār-e-farhād āsāñ zamīn meñ bhī
mushkil-pasand haiñ ham mushkil ko DhūñDte haiñ
ai ḳhizr pai-e-ḳhajista bahr-e-ḳhudā karam kar
bhaTke hue musāfir manzil ko DhūñDte haiñ
dil-ḳhvāh tere ishve dil-jū tire ishāre
vo dil TaTolte haiñ ye dil ko DhūñDte haiñ
ai 'nazm' kyā batā.eñ hajj-o-tavāf apnā
ka.abe meñ bhī kisī kī mahmil ko DhūñDte haiñ
Top Urdushayar.com