Nazm tabaatabaa.ii

nadamat hai bana kar is chaman mein aashiyan mujhko

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
nadāmat hai banā kar is chaman meñ āshiyāñ mujh ko
milā hamdam yahāñ koī na koī ham-zabāñ mujh ko
dikhā.e jā ravānī tausan-e-umr-e-ravāñ mujh ko
hilāl-e-barq se rakh ham-rikāb-o-ham-ināñ mujh ko
banāyā nā-tavānī ne sulaimān-e-zamāñ mujh ko
uḌā kar le chale mauj-e-nasīm-e-bostāñ mujh ko
dam-e-sub.h-e-azal se maiñ navā-sanjoñ meñ huuñ tere
batāyā bulbul-e-sidra ne andāz-e-fuġhāñ mujh ko
mirī bātoñ meñ kyā ma.alūm kab so.e vo kab jaage
sire se is liye kahnī paḌī phir dāstāñ mujh ko
bahā kar qāfila se duur jism-e-zār ko pheñkā
ki mauj-e-sail thī bāñg-e-darā-e-kārvāñ mujh ko
ye dil kī be-qarārī ḳhaak ho kar bhī na jā.egī
sunātī hai lab-e-sāhil se ye reg-e-ravāñ mujh ko
uḌaa.ī ḳhaak jis sahrā meñ tere vāste maiñ ne
thakā-māñda milā in manziloñ meñ āsmāñ mujh ko
tasavvur sham.a kā jis ko jilā de huuñ vo parvāna
lag uTThī aag dil meñ jab nazar aayā dhuāñ mujh ko
vo jis aalam meñ jā pahuñchā vahāñ maiñ kis tarah jā.ūñ
huā dil aap se bāhar pinhā kar beḌiyāñ mujh ko
ġhubār-e-rāh se ai 'nazm' ye āvāz aatī hai
ga.ī ai umr-e-rafta tū kidhar pheñkā kahāñ mujh ko
Top Urdushayar.com