Nazm tabaatabaa.ii

kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
kis liye phirte haiñ ye shams o qamar donoñ saath
kis ko ye DhūñDte haiñ barhana-sar donoñ saath
kaisī yā-rab ye havā sub.h-e-shab-e-vasl chalī
bujh gayā dil mirā aur sham-e-sahar donoñ saath
ba.ad mere na rahā ishq kī manzil kā nishāñ
miT ga.e rāh-rau o rāhguzar donoñ saath
ai junūñ dekh isī sahrā meñ akelā huuñ maiñ
rahte jis dasht meñ haiñ ḳhauf-o-ḳhatar donoñ saath
mujh ko hairat hai shab-e-aish kī kotāhī par
yā ḳhudā aa.e the kyā shām-o-sahar donoñ saath
us ne pherī nigah-e-nāz ye ma.alūm huā
khiñch gayā siine se tiir aur jigar donoñ saath
ġham ko dī dil ne jagah dil ko jagah pahlū ne
ek goshe meñ kareñge ye basar donoñ saath
is ko rokūñ maiñ ilāhī ki sambhālūñ us ko
ki taḌapne lage dil aur jigar donoñ saath
naaz baḌhtā gayā baḌhte ga.e juuñ juuñ gesū
balki lene lage ab zulf o kamar donoñ saath
tujh se matlab hai nahīñ duniyā o uqbā se ġharaz
tū nahīñ jab to ujaḌ jaa.eñ ye ghar donoñ saath
baat sunñā na kisī chāhne vaale kī kabhī
kaan meñ phūñk rahe haiñ ye guhar donoñ saath
āñdhiyāñ aah kī bhī ashk kā sailāb bhī hai
dete haiñ dil kī ḳharābī kī ḳhabar donoñ saath
kyā kahūñ zohra o ḳhurshīd kā aalam ai 'nazm'
nikle ḳhalvat se jūñhī vaqt-e-sahar donoñ saath
Top Urdushayar.com