Nazm tabaatabaa.ii

junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
junūñ ke valvale jab ghuT ga.e dil meñ nihāñ ho kar
to uTThe haiñ dhuāñ ho kar gire haiñ bijliyāñ ho kar
kuchh aage baḌh chale sāmān-e-rāhat lā-makāñ ho kar
falak pīchhe rahā jaatā hai gard-e-kārvāñ ho kar
kisī din to chale ai āsmāñ bād-e-murād aisī
ki utreñ kashtī-e-mai par ghaTā.eñ bādbāñ ho kar
na jaane kis bayābāñ marg ne miTTī nahīñ paa.ī
bagūle jā rahe haiñ kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar
vafūr-e-zabt se betābi-e-dil baḌh nahīñ saktī
gale tak aa ke rah jaate haiñ naale hichkiyāñ ho kar
gulū-gīr ab to aisā inqalāb-e-rañg-e-ālam hai
ki naġhme nikle minqār-e-anādil se fuġhāñ ho kar
jo ho kar abr se māyūs ḳhud sīñche kabhī dahqāñ
jalā deñ khet ko paanī kī lahreñ bijliyāñ ho kar
jahāñ meñ vāshud-e-ḳhātir ke sāmāñ ho ga.e lāshe
jagah rāhat kī nā-mumkin huī hai lā-makāñ ho kar
hañse koī na bijlī ke sivā is dār-e-mātam meñ
agar rah jaa.e saarā khet kisht-e-za.afarāñ ho kar
alam meñ āshiyāñ ke is qadar tinke chune maiñ ne
ki āḳhir bā.is-e-taskīñ hue haiñ āshiyāñ ho kar
ghaTā.eñ ghir ke kyā kyā hasrat-e-farhād par roiiñ
chaman tak aa ga.iiñ nahreñ pahāḌoñ se ravāñ ho kar
dil-e-shaidā ne paayā ishq meñ me.arāj kā rutba
yahāñ akasr butoñ ke zulm TuuTe āsmāñ ho kar
jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq niklā thā
vo us ke sāmne aayā zabāñ par dāstāñ ho kar
nikal aa.e haiñ har iqrār meñ inkār ke pahlū
banā detī haiñ hairāñ terī bāteñ makr yaañ ho kar
nazākat kā ye aalam phuul bhī toḌe to bal khā kar
na jaane dil mirā kis tarah toḌā pahlvāñ ho kar
tadarrau-o-kabak par hañs kar uTThe ḳhud laḌkhaḌāte haiñ
subuk karte haiñ un ko pā.eñche bār-e-girāñ ho kar
galā ghoñTā hai zabt-e-ġham ne kuchh aisā ki mushkil hai
ki nikle muñh se āvāz-e-shikast-e-dil fuġhāñ ho kar
pata andesha-e-sālik ne paayā manzil-e-dil kā
tū palTā lā-makāñ se āsmāñ-dar-āsmāñ ho kar
huī phir dekhiye aa bustan-e-shādī-o-ġham duniyā
abhī paidā hue the rañj-o-rāhat to amaañ ho kar
jo niklī hogī koī aarzū to ye bhī niklegā
tumhārā tīr-e-hasrat ban gayā dil meñ nihāñ ho kar
utar jā.egā tū o āftāb-e-husn koThe se
giregā sāya-e-dīvār ham par āsmāñ ho kar
Top Urdushayar.com