Nazm tabaatabaa.ii

aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
aa ke mujh tak kashtī-e-mai sāqiyā ulTī phirī
aaj kyā naddī bahī ulTī havā ulTī phirī
aate aate lab par āh-e-nā-rasā ulTī phirī
vo bhī merā hī dabāne ko galā ulTī phirī
muḌ ke dekhā us ne aur vaar abruoñ kā chal gayā
ik chhurī sīdhī phirī aur ik zarā ulTī phirī
lā sakā nazzāra-e-ruḳhsār-e-raushan kī na taab
jā ke ā.īne pe chehre kī ziyā ulTī phirī
rāst-bāzoñ hī ko piisā āsmāñ ne raat din
vā-e-qismat jab phirī ye āsiyā ulTī phirī
jo baḌā bol ek din bole the pesh aayā vahī
gumbad-e-gardūñ se Takrā kar sadā ulTī phirī
rizq khā kar ġhair kī qismat kā zambūr-e-asal
tū ne dekhā halq tak jā kar ġhizā ulTī phirī
tū satā.ish-gar hai us kā jo hai terā mad.h-ḳhvāñ
ye to ai mushfiq zamīr-e-marhabā ulTī phirī
jis par aa.ī thī tabī.at kī usī ne kuchh na qadr
jins-e-dil mānind-e-jins-e-nāravā ulTī phirī
yā to kushī Dūbtī thī yā chalī sāhil se duur
vaa.e nākāmī phirī bhī to havā ulTī phirī
girne vaalā hai kisī dushman pe kyā tīr-e-shahāb
āsmāñ tak jā ke kyuuñ āh-e-rasā ulTī phirī
jī gayā maiñ us ke aa jaane se dushman mar gayā
dekh kar iisā ko bālīñ par qazā ulTī phirī
mar gayā be-maut maiñ āḳhir ajal bhī duur hai
kūcha-e-qātil kā batlā kar patā ulTī phirī
hijr kī shab mujh ko ulTī saañs lete dekh kar
ek hī dam meñ vahāñ jā kar sabā ulTī phirī
hai mirā vīrāna-e-ġham 'nazm' aisā haul-nāk
mauj-e-sail aa.ī to le kar boriyā ulTī phirī
Top Urdushayar.com