yuuñ to na tere jism meñ haiñ zīnhār haath
dene ke ai karīm magar haiñ hazār haath
añgḌā.iyoñ meñ phailte haiñ baar baar haath
shīsha kī samt baḌhte haiñ be-iḳhtiyār haath
Duube haiñ tark-e-sa.i se afsos to ye hai
sāhil thā haath bhar pe lagāte jo chaar haath
aatī hai jab nasīm to kahtī hai mauj-e-bahr
yuuñ aabrū sameT agar hoñ hazār haath
darpai haiñ mere qatl ke ahbāb aur maiñ
ḳhush huuñ ki mere ḳhuun meñ rañgte haiñ yaar haath
dāman-kashāñ chalī hai badan se nikal ke ruuh
khiñchte haiñ phailte haiñ jo yuuñ baar baar haath
miTtā nahīñ navishta-e-qismat kisī tarah
patthar se sar ko phoḌ ki zaanū pe maar haath
saaqī sambhālnā ki hai labrez jām-e-mai
laġhzish hai mere paañv meñ aur ra.asha-dār haath
mutrib se pūchh mas.ala-e-jabr-o-iḳhtiyār
kyā taal sam pe uThte haiñ be-iḳhtiyār haath
maiñ aur huuñ alā.eq-e-duniyā ke daam meñ
merā na ek haath na us ke hazār haath
ai 'nazm' vasl meñ bhī rahā tū na chain se
dil ko huā qarār to hai be-qarār haath