Nazm tabaatabaa.ii

pursish jo hogi tujhse jallad kya karega

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
pursish jo hogī tujh se jallād kyā karegā
le ḳhuun maiñ ne baḳhshā tū yaad kyā karegā
huuñ daam meñ pur-afshāñ aur sādgī se hairāñ
kyuuñ tez kī haiñ chhuriyāñ sayyād kyā karegā
zālim ye soch kar ab detā hai bosa-e-lab
jab hoñT sī diye phir fariyād kyā karegā
zanjīr tār-e-dāmāñ hai tauq ik garebāñ
zor-e-junūñ na kam ho haddād kyā karegā
ham Duub kar mareñge hasrat rahegī tujh ko
jab ḳhaak hī na hogī barbād kyā karegā
yāqūb qat.a kar deñ ummīd-e-vasl dil se
yūsuf sā banda koī āzād kyā karegā
dil le ke pūchhtā hai tū kis kā shefta hai
bhūlā abhī se zālim phir yaad kyā karegā
ai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh ko
tahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegā
kunj-e-qafas se ik din hogī rihā.ī apnī
mar jā.eñge to āḳhir sayyād kiyā karegā
misl-e-sipand dil hai betāb soz-e-ġham meñ
rah jā.egā taḌap kar fariyād kyā karegā
ai shaiḳh bhar gayā hai kyuuñ va.az kī havā meñ
rīsh-e-safed apnī barbād kyā karegā
zulm-o-sitam se bhī ab zālim ne haath khīñchā
is se sitam vo baḌh kar ījād kyā karegā
az-bas-ki be-hunar huuñ maiñ nañg-e-mo'tariz huuñ
mazmūñ pe mere koī ī.rād kyā karegā
ai ''nazm'' jis ko chāhe vo de bahisht dozaḳh
namrūd kyā karegā shaddād kyā karegā
Top Urdushayar.com