mujh ko samjho yādgār-e-raftagān-e-lucknow
huuñ qadd-e-āmdam ġhubār-e-kārvān-e-lucknow
ḳhūn-e-hasrat kah rahā hai dāstān-e-lucknow
rah gayā hai ab yahī rañgīñ-bayān-e-lucknow
gosh-e-ibrat se sune koī mirī fariyād hai
bulbul-e-ḳhūnīñ navā-e-bostān-e-lucknow
mere har aañsū meñ ik ā.īna-e-tasvīr hai
mere har naale meñ hai tarz-e-fuġhān-e-lucknow
DhūñDhtā hai ab kise le kar charāġh-e-āftāb
kyuuñ miTāyā ai falak tū ne nishān-e-lucknow
lucknow jin se ibārat thī hue vo nāpadīd
hai nishān-e-lucknow baaqī na shān-e-lucknow
ab nazar aatā nahīñ vo majma.a-e-ahl-e-kamāl
khā ga.e un ko zamīn-o-āsmān-e-lucknow
pahle thā ahl-e-zabāñ kā daur ab gardish meñ haiñ
chāhiye thī teġh-e-urdu ko fasān-e-lucknow
marsiya-go kitne yaktā-e-zamāna the yahāñ
koī to itnoñ meñ hotā nauha-ḳhvān-e-lucknow
ye ġhubār-e-nā-tavāñ ḳhākistar-e-parvāna hai
ḳhāndān apnā thā sham-e-dūdmān-e-lucknow
chaltā thā jab ghuTniyoñ apne yahāñ tifl-e-razī.a
sajda karte the use gardan-kushān-e-lucknow
ahd-e-pīrāna-sarī meñ kyuuñ na shīrīñ ho suḳhan
bachpane meñ maiñ ne chūsī hai zabān-e-lucknow
gulshan-e-firdaus par kyā naaz hai rizvāñ tujhe
pūchh us ke dil se jo hai rutba-dān-e-lucknow
bū-e-uns aatī hai 'haidar' ḳhāk-e-maTiyā-burj se
jam.a haiñ ik jā vatan-āvārgān-e-lucknow