sub.ha hai zunnār kyuuñ kaisī kahī
zāhid-e-ayyār kyuuñ kaisī kahī
kaT ga.e aġhyār kyuuñ kaisī kahī
chhā ga.ī har baar kyuuñ kaisī kahī
haiñ ye sab iqrār jhūTe yā nahīñ
kījiye iqrār kyuuñ kaisī kahī
rūThne se aap kā matlab ye hai
is ko aa.e pyaar kyuuñ kaisī kahī
kah diyā maiñ ne sahar hai jhūT-mūT
ho ga.e bedār kyuuñ kaisī kahī
ek to kahte haiñ sad.hā bhaptiyāñ
aur phir isrār kyuuñ kaisī kahī
nāsehā ye bahs dīvānoñ ke saath
aql kī hai maar kyuuñ kaisī kahī
yā ḳhafā the yā zarā sī baat par
ho ga.ī bauchhār kyuuñ kaisī kahī
mujh se bai.at kar le tū bhī vā.izā
haath laanā yaar kyuuñ kaisī kahī
surma de kar dil ke lene kā hai qasd
aañkh to kar chaar kyuuñ kaisī kahī
jaan de de chal ke dar par yaar ke
o dil-e-bīmār kyuuñ kaisī kahī
kyā hī bigḌe ho patte kī baat par
ho ga.e bezār kyuuñ kaisī kahī
ab to 'haidar' aur hī kuchh rañg haiñ
māntā huuñ yaar kyuuñ kaisī kahī