Nazm tabaatabaa.ii

aa gaya phir ramazan kya hoga

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
aa gayā phir ramazāñ kyā hogā
haa.e ai pīr-e-muġhāñ kyā hogā
bāġh-e-jannat meñ samāñ kyā hogā
tū nahīñ jab to vahāñ kyā hogā
ḳhush vo hotā hai mire nāloñ se
aur andāz-e-fuġhāñ kyā hogā
duur kī raah hai sāmāñ haiñ baḌe
itnī mohlat hai kahāñ kyā hogā
dekh lo rañg-e-parīdañ ko mire
dil jalegā to dhuāñ kyā hogā
hogā bas ek nigah meñ jo tamām
vo ba-hasrat nigarāñ kyā hogā
ham ne maanā ki milā mulk-e-jahāñ
na rahe ham to jahāñ kyā hogā
mar ke jab ḳhaak meñ milnā Thahrā
phir ye turbat kā nishāñ kyā hogā
jis tarah dil huā TukḌe az-ḳhud
chaak is tarah katāñ kyā hogā
yā tirā zikr hai yā naam tirā
aur phir vird-e-zabāñ kyā hogā
ishq se baaz na aanā 'haidar'
raaz hone de ayaañ kyā hogā
Top Urdushayar.com