Nazm tabaatabaa.ii

is mahina bhar kahan tha saqiya achchhi tarah

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
is mahīna bhar kahāñ thā sāqiyā achchhī tarah
aa idhar aa iid to mil leñ zarā achchhī tarah
uñgliyāñ kānoñ meñ rakh kar ai musāfir sun zarā
aa rahī hai saaf āvāz-e-darā achchhī tarah
chashm-e-mūsā lā sakī ik us ke jalve kī na taab
chashm-e-dil se jis ko dekhā bār-hā achchhī tarah
fāsla aisā nahīñ kuchh arsh kī zanjīr se
kyā kahūñ baḌhtā nahīñ dast-e-duā achchhī tarah
ahl-e-sūrat ko nahīñ hai achchhī sīrat se ġharaz
achchhī sūrat chāhiye achchhī adā achchhī tarah
shāhidān-e-lāla-o-gul kī ḳhabar laa.ī hai kuchh
saal bhar ke ba.ad aa.ī ai sabā achchhī tarah
siikh legī bal kī lenā tā-kamar aane to do
bal abhī kartī nahīñ zulf-e-dotā achchhī tarah
shīsha-o-jām-o-subū bhar le mai-e-gul-rañg se
aaj saaqī ghir ke aa.ī hai ghaTā achchhī tarah
lete haiñ ahl-e-junūñ kyā kyā tasavvur ke maze
aañkh se pariyoñ ko dekhā bār-hā achchhī tarah
de rahī hai us kī ḳhāmoshī sadā-e-dūr-bāsh
ye nahīñ kahtā ki 'nazm'-e-mubtalā achchhī tarah
Top Urdushayar.com