bulandiyoñ se utar kar kabhī pukār mujhe
azal se tere karam kā hai intizār mujhe
tire jamāl-e-shafaq-rañg kā zuhūr huuñ maiñ
milā hai terī tamāzat se ye vaqār mujhe
tavīl umr se fikr-o-nazar kī qaid meñ huuñ
nigāh-e-vaqt kī suulī se ab utaar mujhe
tirī vafā kā bharam merī zaat se mansūb
muḳhālifoñ kī safoñ meñ na kar shumār mujhe
haqīqatoñ ko samajh maslahat-shanās na ban
fasīl-e-jabr se ḳhud bhī nikal ubhār mujhe
tirī talab kī kaḌī dhuup meñ bhī huuñ lekin
atā ho abr-e-karam peḌ sāya-dār mujhe
maiñ tīrgī ko amānat tirī samajhtā huuñ
tū raushnī hai to koī kiran utaar mujhe