Iftikhar Qaisar

jo mila karti thi mujhko lakDiyon ki Tal par

Iftikhar Qaisar

1937
jo milā kartī thī mujh ko lakḌiyoñ kī Taal par
aisī laḌkī aaj tak dekhī nahīñ hai maal par
aañkh meñ saa.e kī ḳhvāhish peT meñ roTī kī bhuuk
phir bhī kaisī tāzgī thī phuul jaise gaal par
us ko dekhā to use bas dekhtā hī rah gayā
jaise ik zaḳhmī sī titlī ek TuuTī Daal par
jaane kaise us ko merī pyaas kī pahuñchī ḳhabar
laa.ī chāñdī se kaTore sone aise thaal par
patlī patlī roTiyoñ ko chaopḌegī haath se
Daal kar taḌkā vo mujh ko degī patlī daal par
merī nazroñ se chhupā kar us se āñkheñ poñchh leñ
us ne merā naam likh rakkhā thā jis rūmāl par
Top Urdushayar.com