tirī āvāz meñ bhī koī āvāza nahīñ hotā
tirī bātoñ se ab to koī andāza nahīñ hotā
kabhī baiThak tirī dopahar meñ ābād rahtī thī
khulā ab shaam ko bhī ghar kā darvāza nahīñ hotā
kabhī vo ik ishāre se samajh jaatā thā saarī baat
jatan karne se bhī ab us ko andāza nahīñ hotā
bahut hī ban-sañvar kar āj-kal ghar se nikaltā hai
magar ye kyā ki vo chehra tar-o-tāza nahīñ hotā
kabhī dukh aa ke rahte haiñ kabhī sukh aa ke rahte haiñ
kisī par band apne ghar kā darvāza nahīñ hotā
mire baare meñ vo kyā sochtā hai muuD kaisā hai
ab us se shaam ko bhī mil ke andāza nahīñ hotā