Iftikhar Qaisar

apne KHun ko KHarch kiya hai aur kamaya shahr

Iftikhar Qaisar

1937
apne ḳhuuñ ko ḳharch kiyā hai aur kamāyā shahr
saare manzar TuuT ga.e aur kaam na aayā shahr
be-ghar honā be-ghar rahnā sab achchhā Thahrā
ghar ke andar ghar nahīñ paayā shahr meñ paayā shahr
saat samundar paar bhī āñkheñ mere saath na aa.iiñ
chāroñ jānib ḳhvāb haiñ mere aur parāyā shahr
kaale shahr ko raushan rakkhā shahr ke logoñ ne
dīvānoñ ne diye jalā.e aur bujhāyā shahr
shahr ke ūñche burj bhī mere qad se chhoTe the
chhoTe chhoTe logoñ ne kyā ḳhuub banāyā shahr
Top Urdushayar.com