phir aa ga.ī ik but pe tabī.at ko huā kyā
Taltī hī nahīñ sar se musībat ko huā kyā
mahrūm phir aayā dar-e-mai-ḳhāna se vaa.iz
rindān-e-qadah-ḳhvār kī himmat ko huā kyā
maqbūl-e-duā ho na asar āh-o-fuġhāñ meñ
is daur meñ tāsīr-e-mohabbat ko huā kyā
is husn-o-latāfat pe kyā sañg-dil aisā
hairat meñ huuñ allāh kī hikmat ko huā kyā
jaage to koī anjuman-e-ġhair meñ shab bhar
aur chhā.ī mire muñh pe nadāmat ko huā kyā
dānista naqāb ulTe hue haiñ sar-e-bāzār
aur us pe ye kahte haiñ ki ḳhilqat ko huā kyā
lo ham to chale kausar o tasnīm pe zāhid
tum yūñhī kahe jaao ki rahmat ko huā kyā
'mā.il' nahīñ kyā aur zamāne meñ ilāhī
mujh par hī utartī hai ye aafat ko huā kyā