Mirza Mayal Dehlvi

baaten hain waizon ki azab o sawab kya

Mirza Mayal Dehlvi

Delhi, India

1866-1894
bāteñ haiñ vā.izoñ kī azaab o savāb kyā
do din kī zindagī meñ hisāb-o-kitāb kyā
chāhī vafā-e-vāda to paayā javāb kyā
haañ kahiye to ye aap ne dekhā hai ḳhvāb kyā
dil meñ ġhazab ke josh haiñ tauba kī ḳhair ho
kartī hai dekhiye ye shab-e-māhtāb kyā
ye sab sahī ki zalzala hai tā-falak magar
shoḳhī to apnī dekh mirā iztirāb kyā
us ne to jo likhkhā so likhā par ġhazab ye hai
ik ek pūchhtā hai ki aayā javāb kyā
achchhā gumān o vahm hamāre ġhalat sahī
kahiye to kahtī hai nigah-e-pur-hijāb kyā
ai ham-nashīñ bhalā vo agar sun ke hāl-e-dil
kah deñ ki sab ġhalat hai phir is kā javāb kyā
karte haiñ log vaa.iz o 'mā.il' pe ta.an kyuuñ
piitā nahīñ jahān meñ koī sharāb kyā
Top Urdushayar.com