ashk-e-gulgūñ ko na ḳhūn-e-shohadā ko dekhā
shoḳh jaisā ki tire rañg-e-hinā ko dekhā
tujh ko dekhā na tire nāz-o-adā ko dekhā
terī har tarz meñ ik shān-e-ḳhudā ko dekhā
haiñ tujhe dekh ke hūrān-e-bahishtī betāb
yā tire kushta-e-andāza-o-adā ko dekhā
tishna-e-āb-e-dam-e-teġh ne piinā kaisā
aañkh uThā kar na kabhī āb-e-baqā ko dekhā
mujhe kāfir hī batānā hai ye vaa.iz kam-baḳht
maiñ ne bandoñ meñ ka.ī baar ḳhudā ko dekhā
nik.hat-e-zulf-e-mo.ambar ko chaman meñ paayā
aate jaate tire kūche meñ sabā ko dekhā
'mā.il' īmān hai bil-ġhaib hameñ logoñ kā
ki payambar ko hai dekhā na ḳhudā ko dekhā