na ho shabāb to kaifiyyat-e-sharāb kahāñ
na ho shabāb to kaifiyyat-e-shabāb kahāñ
chalā huuñ ka.abe ko lekin chalā nahīñ jaatā
na ho jo shauq hī dil meñ to iztirāb kahāñ
adū kī bazm meñ dushman hazār baiThe haiñ
milā bhī haa.e vo kāfir to be-hijāb kahāñ
kisī tarah shab-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
ḳhudā hī jaane ki Duubā hai āftāb kahāñ
haram meñ baiThe ho 'mā.il' ḳhudā ḳhudā kiije
yahāñ vo sāqi-e-mehvash kahāñ sharāb kahāñ