Mirza Mayal Dehlvi

kis munh se karun main tan-e-uryan ki shikayat

Mirza Mayal Dehlvi

Delhi, India

1866-1894
kis muñh se karūñ maiñ tan-e-uryāñ kī shikāyat
dāmāñ kī shikāyat na garebāñ kī shikāyat
kaisā hī khaTaktā rahe dil meñ mire paikāñ
mujh se to na hogī kabhī mehmāñ kī shikāyat
itnā bhī taġhāful nahīñ achchhā kahīñ tum ko
karnī na paḌe shorish-e-pinhāñ kī shikāyat
allāh rakhe mire tasavvur ko salāmat
tujh ko to nahīñ hai shab-e-hijrāñ kī shikāyat
hoñ lañg magar vāqif-e-ādāb-e-junūñ huuñ
maiñ kufr samajhtā huuñ bayābāñ kī shikāyat
kahtī hai tirī chashm kī gardish mire hote
koī na kare gardish-e-daurāñ kī shikāyat
jaate to ho ka.abe ko ḳhudā ke liye 'mā.il'
karnā na kisī dushman-e-īmāñ kī shikāyat
Top Urdushayar.com