Gulnar Aafreen

dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae

Gulnar Aafreen

Tonk, Rajasthan, India

1942
dil ne ik aah bharī aañkh meñ aañsū aa.e
yaad ġham ke hameñ kuchh aur bhī pahlū aa.e
zulmat-e-shab meñ hai rū-posh nishān-e-manzil
ab mujhe raah dikhāne koī jugnū aa.e
dil kā har zaḳhm tirī yaad kā ik phuul bane
mere pairāhan-e-jāñ se tirī ḳhushbū aa.e
tishna-kāmoñ kī kahīñ pyaas bujhā kartī hai
dasht ko chhoḌ ke ab kaun lab-e-jū aa.e
ek parchhā.īñ tasavvur kī mire saath rahe
maiñ tujhe bhūlūñ magar yaad mujhe tū aa.e
maiñ yahī aas liye ġham kī kaḌī dhuup meñ huuñ
dil ke sahrā meñ tire pyaar kā aahū aa.e
dil pareshān hai 'gulnār' to māhaul udaas
ab zarūrat hai koī mutrib-e-ḳhush-ḳhū aa.e
Top Urdushayar.com