ai shahr-e-sitam-pesha batā kis ko sadā duuñ
ab kaun rahā hai jise paiġhām-e-vafā duuñ
shāmil mirī sāñsoñ meñ hai sadiyoñ kī aziyyat
aa gardish-e-daurāñ maiñ tujhe bhī to duā duuñ
ashkoñ ke guhar bhī to nahīñ paas mire ab
maiñ soch rahī huuñ ġham-e-daurāñ tujhe kyā duuñ
Dartī huuñ bikhar jā.egī ḳhākistar-e-jāñ bhī
bujhte hue sho.aloñ maiñ tumheñ kaise havā duuñ
vo log jo sargarm-e-takallum haiñ sar-e-bazm
kaise unheñ ādāb takallum ke sikhā duuñ
ai raat sarāboñ ke sivā kuchh na milegā
maiñ din ke ujāle meñ agar sham.a jalā duuñ
'gulnār' sar-e-shāḳh-e-chaman lāla-o-gul ko
de de vo ijāzat to mahakne kī adā duuñ