aañkh meñ ashk liye ḳhaak liye dāman meñ
ek dīvāna nazar aatā hai kab se ban meñ
mere ghar ke bhī dar-o-bām kabhī jāgeñge
dhuup niklegī kabhī to mire bhī āñgan meñ
kahiye ā.īna-e-sad-fasl-e-bahārāñ tujh ko
kitne phūloñ kī mahak hai tire pairāhan meñ
shab-e-tārīk mirā rāsta kyā rokegī
mire āñchal meñ sitāre haiñ sahar dāman meñ
kin shahīdoñ ke lahū ke ye farozāñ haiñ charāġh
raushnī sī jo hai zindāñ ke har ik rauzan meñ
ahd-e-rafta kī tamannā kā fusūñ zinda hai
dil-e-nākām abhī tak tirī har dhaḌkan meñ
hameñ manzūr nahīñ aglī ravāyāt-e-junūñ
bā-ḳhirad ho ga.ī 'gulnār' divāna-pan meñ