yaad karne kā tumheñ koī irāda bhī na thā
aur tumheñ dil se bhulā deñ ye gavārā bhī na thā
har taraf taptī huī dhuup thī ai umr-e-ravāñ
duur tak dasht-e-alam meñ koī saayā bhī na thā
mish.al-e-jāñ bhī jalā.ī na ga.ī thī ham se
aur palkoñ pe shab-e-ġham koī taarā bhī na thā
ham sar-e-rāh-e-vafā us ko sadā kyā dete
jaane vaale ne palaT kar hameñ dekhā bhī na thā
ho ga.ī ḳhatm sarāboñ meñ bhaTaktī huī ziist
dil meñ hasrat hī rahī dasht meñ dariyā bhī na thā
kis ḳhamoshī se jalā dāman-e-dil ai 'gulnār'
koī shola bhī na thā koī sharārā bhī na thā