aañsū bhī vahī karb ke saa.e bhī vahī haiñ
ham gardish-e-daurāñ ke satā.e bhī vahī haiñ
kyā baat hai kyuuñ shahr meñ ab jī nahīñ lagtā
hālāñki yahāñ apne parā.e bhī vahī haiñ
aurāq-e-dil-o-jāñ pe jinheñ tum ne likhā hai
naġhmāt-e-alam ham ne sunā.e bhī vahī haiñ
ai josh-e-junūñ dard kā aalam bhī vahī hai
ai vahshat-e-jāñ dard ke saa.e bhī vahī haiñ
dekhā hai jinheñ āh-ba-lab chāk-garebāñ
har dāġh-e-alam dil meñ chhupā.e bhī vahī haiñ
sau rañg bikhereñge mohabbat ke shagūfe
'gulnār' chaman meñ hameñ laa.e bhī vahī haiñ