ġham gardish-e-daurāñ ke bhulā.e nahīñ jaate
ab zaḳhm dil-o-jāñ ke chhupā.e nahīñ jaate
kyā ruuh kī gahrā.ī meñ tum jhāñk rahe ho
ab raaz mohabbat ke chhupā.e nahīñ jaate
jin rāh-guzāroñ pe tire naqsh-e-qadam haiñ
vo naqsh-e-qadam ham se miTā.e nahīñ jaate
zulmat ke manāzir se rihā ho ga.iiñ nazreñ
zehnoñ se magar ḳhauf ke saa.e nahīñ jaate
maiñ kaise tilāvat karūñ āyāt vafā kī
kyoñ tāj-mahal aaj banā.e nahīñ jaate
'gulnār' har ik sher se zāhir hai tirā ġham
ash.ār kabhī yūñhī sunā.e nahīñ jaate