hamārā naam pukāre hamāre ghar aa.e
ye dil talāsh meñ jis kī hai vo nazar aa.e
na jaane shahr-e-nigārāñ pe kyā guzartī hai
fazā-e-dasht-e-alam koī to ḳhabar aa.e
nishān bhuul ga.ī huuñ maiñ rāh-e-manzil kā
ḳhudā kare ki mujhe yād-e-rahguzar aa.e
maiñ āñdhiyoñ meñ bhī phūloñ ke rañg paḌh lūñgī
tire badan kī mahak lauT kar agar aa.e
ġhubār ġham kā dayār-e-vafā meñ uḌtā hai
magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aa.e
safar kā rañg hasīñ qurbatoñ kā hāmil ho
bahār ban ke koī ab to ham-safar aa.e
na.ī sahar kā maiñ 'gulnār' isti.āra huuñ
fazā-e-tīra-shabī ḳhatm ho sahar aa.e