shajar-e-ummīd bhī jal gayā vo vafā kī shāḳh bhī jal ga.ī
mire dil kā naqsha badal gayā mirī sub.h raat meñ Dhal ga.ī
vahī zindagī jo bahr nafas jo bahr qadam mire saath thī
kabhī merā saath bhī chhoḌ kar mirī manzileñ bhī badal ga.ī
na vo aarzū hai na justujū na koī tasavvur-e-rañg-o-bū
liye dil meñ dāġh-e-ġham-e-ḳhizāñ maiñ chaman se duur nikal ga.ī
tirī chaal puurī na ho sakī tirā vaar ḳhālī chalā gayā
zarā dekh gardish-e-āsmāñ ki maiñ girte girte sambhal ga.ī
tirī chāhatoñ se sañvar ga.e ye mire jamāl ke ā.īne
maiñ gulāb ban ke mahak uThī maiñ shafaq ke rañg meñ Dhal ga.ī
ye tilism-e-mausam-e-gul nahīñ ki ye mojaza hai bahār kā
vo kalī jo shāḳh se gir ga.ī vo sabā kī god meñ pal ga.ī
vahī sā.at-e-ġham-e-ārzū jo hamesha dil meñ basī rahī
hai ḳhudā kā shukr ki 'āfrīñ' vo hamāre sar se to Tal ga.ī