na pūchh ai mire ġham-ḳhvār kyā tamannā thī
dil-e-hazīñ meñ bhī ābād ek duniyā thī
har ik nazar thī hamāre hī chāk-dāmāñ par
har ek sā.at-e-ġham jaise ik tamāshā thī
hameñ bhī ab dar o dīvār ghar ke yaad aa.e
jo ghar meñ the to hameñ ārzū-e-sahrā thī
koī bachātā hameñ phir bhī Duub hī jaate
hamāre vāste zanjīr mauj-e-dariyā thī
baġhair samt ke chalnā bhī kaam aa hī gayā
fasīl-e-shahr ke bāhar bhī ek duniyā thī
tilism-e-hosh-rubā the vo manzar-e-hastī
fazā-e-dīda-o-dil jaise ḳhvāb aasā thī
koī rafīq-e-safar thā na rāhbar koī
junūñ kī raah meñ 'gulnār' jāda-paimā thī