na saath degā koī raah āshnā merā
judā hai saare zamāne se rāsta merā
guzar ke aa.ī huuñ maiñ ġham ke regzāroñ se
nazar udaas hai dil hai dukhā huā merā
na jaane kis liye qātil ke ashk bhar aa.e
farāz-e-dār pe jab sāmnā huā merā
dayār-e-jāñ meñ farozāñ rahegī sham-e-hayāt
samajh liyā tirī āñkhoñ ne mudda.ā merā
kiyā hai pesh tujhe āñsuoñ kā nazrāna
hujūm-e-shām-e-alam aur dil jalā merā
vo sāneha mire dil par guzar gayā 'gulnār'
har ek harf-e-duā be-sadā huā merā