Gulnar Aafreen

wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha

Gulnar Aafreen

Tonk, Rajasthan, India

1942
vo charāġh-e-zīst ban kar raah meñ jaltā rahā
haath meñ vo haath le kar umr bhar chaltā rahā
ek aañsū yaad kā Tapkā to dariyā ban gayā
zindagī bhar mujh meñ ek tūfān sā paltā rahā
jāntī huuñ ab use maiñ pā nahīñ saktī magar
har jagah saa.e kī sūrat saath kyuuñ chaltā rahā
jo merī nazroñ se ojhal ho chukā muddat huī
vo ḳhayāloñ meñ basā aur sher meñ Dhaltā rahā
ranj thā 'gulnār' mujh ko us ko bhī afsos thā
der tak rotā rahā aur haath bhī maltā rahā
Top Urdushayar.com